Humnava mere ( Hindi Song)

Barson ho gaye bichde
Ab sath nahi ho tum
Phir aisa kyon lagta hai
Jahan main hu wahin ho tum

Kya karun main apni ungliyon ka
Kisi ki bhi tasveer banaun
Tumhari ban jaati hai
Yeh sirf mera paagalpan hai
Ya tum bhi mere liye paagal thi

Kal raaste mein gham mil gaya tha
Lag ke gale main ro diya
Jo sirf mera tha, sirf mera
Maine usse kyon kho diya

Haan woh aakhein jinhe main
Choomta tha bewajah
Pyar mere liye kyon
Unmein baaki na raha

Humnava mere tu hai to meri saasein chale
Bata de kaise main jiyunga tere bina x (2)

Har waqt dil ko jo sataye
Aisi kami hai tu
Main bhi na jaanun yeh
Ke itna kyon laazmi hai tu
Neendein jaake na lautin
Kitni raatein dhal gayin
Itne taare gine ki
Ungliyan bhi jal gayin

Humnava mere tu hai to meri saasein chale
Bata de kaise main jiyunga tere bina x (2)

Tu aakhri aansu oh yaara
Hai aakhri tu gham
Dil ab kahan hai jo dobara
De dein kisi ko hum

Apni shaamon mein hissa
Phir kisi ko na diya
Ishq tere bina bhi
Maine tujhse hi kiya

Humnava mere tu hai to meri saasein chale
Bata de kaise main jiyunga tere bina
Fasle na de ke main hu aasre tere
Bata de kaise main jiyunga tere bina

Aazma raha mujhe kyon
Aa bhi jaa kahin se ab tu
Kaise main jiyunga tere bina
Seene mein jo dhadkanein hain
Tere naam pe chale hain
Kaise main jiyunga tere bina

Jawab mil gaya mujhe
Main tumhari zindagi mein kahin nahi tha
Phir bhi main hi tumhari zindagi tha
Sirf main hi tumhare liye paagal nahi tha
Tum bhi

Humnava mere tu hai to meri saasein chale
Bata de kaise main jiyunga tere bina

Comments

Popular posts from this blog

তুমি মিশ্রিত লগ্ন মাধুরীর, বাংলাদেশ

রিমঝিম এ ধারাতে চায় মন হারাতে

আজ কেন মন উদাসী হয়ে